Poem

Duniya me faili hai nafrat...


Duniya me faili hai nafrat, dikha rahi hai din me tare,
mithas juba se gayab ho gayi,baras rahe hai bas angare,

manav itna bigad gaya hai, lagta hai bhagvan bhi hare,
isliye duniya ke andar ghum rahe hai sab mare mare,

aise me sanjeevni bankar, satguru ka farman pukare,
aman chain se rahna hai to, sahanseel ban jaye sare,

is duniya me jidhar bhi dekha, bande hai insaan bahot kam,
nirakar ki baat hai karte, kaha pe hai, pehchan bahot kam,

chhama-chhama har koi kahta,karte hai chhamadan bahot kam,
isliye to manav ka, hota hai kalyan bahot kam,

khudi mitakar khuda ko jano, tab ho jayenge vare-nayare,
aman chain se rahna hai to sahanseel ban jaye sare....  




Ha raho jami par...


Ha raho jami par magar aashma ka khwab rakho,
tum apni soch ko har waqt lajawab rakho ,


khade na ho sako etna na sar jhukao kabhi,
tum apne hath me kirdar ki kitab rakho ,


ubhar raha jo suraj to dhup niklegi ,
ujalo me raho mat dhundh ka hisab rakho ,


mile to aise ki koi na bhul paye tumhe ,
mahak wafa ki rakho aur behisab rakho ...


 
Maya ke jal me...

Maya ke jal me manav es kadar jakdta ja raha,
khud nahi malum ki wo kya karta ja raha,
dusaro ki khusiya chhin chhin kar ye dekho,
apne ghar ki hi khusiya banata ja raha ,
besaram, nirlaj hokar ke ye  dekho,
har gali har jagah khun ki nadiya bahata ja raha,
mach gayi hai hod maya lutne batorne ki,
aankho pe hai patti badhe aur khud fisalta ja raha,
manav ke naam pe hai kalank ye bana,
dekhiye kis kadar haiwan hota ja raha,
dekhkar haiwaniyat bhagwan farista banke aata hai,
aur daya karke sabko gale se lagata hai.




Hardam rahe ehsaas...



Hardam rahe ehsaas tera yahi ardaas hai meri,

jaha jaye tujhe paye yahi ardaas hai meri.

rista nafrato ka hamne har kisi se nibhaya hai,

par pyar karna to hame tune sikhaya hai,

tujhe dekha hai hamne jabse teri najro se,

en nigaho me tu samaye yahi ardaas hai meri,

duniya ne thukraya hame jab jab bhi jaha gaye,

laga seene se tu mujhko yahi ardaas hai meri.

 

Ishq mohabbat pyar...

ishq mohabbat pyar ki baate karte hai bahot log,
par ek dusare ka gala katne se darte hai ku nahi log,
kahte to log hai ki ham sab hai bhai bhai,
fir ye hindu musalma hamesha ladte kyu hai,
ye sach hai ki sabka malik ek hi hai,
fir mandir masjid me alag karke rakhha kyu hai,
pada hai hamne bahot ensa ensa ko jodna dharm hai,
fir har ensa ko dharmo me bat ke rakhha kyu hai,
dawa karte ki ham khuda se pyar kare hai,
fir uske bando se hi sada nafrat karte kyu hai.

 

Har dilo me .....

har dilo me mohabbat jagata hai ye,
bair nafrat ko dil se mitata hai ye,
jo sare jamane se thukraya gaya,
usko apne seene se lagata hai ye,
jo shola gharo ko jalati gayi,
use pyar ke jal se bujhata hai ye,
ham sabhi ko esi ne banaya hai,
puri sristi ko bas chalata hai ye,
aao jane ese pehchane eshe,
bas esi ko man mandir me basate chale. 

 



Pyar ki dawlat se......


pyar ki dawlat se khali pada hai jamana.
aaya hai mera mursad lekar pyar ka khajana.
yah hunar hai iska sadio purana.
nafrat bhare dil me pyar ka dariya bahana.
har kadam hai iska aman santi ka pratik.
rahnumayi me iski insaniyat ki jeet.
kanto se bhi nibhata hai yah prit ki reet.
ulfat ki duniya ka hai yah anhad sangeet.
kul duniya ko de rahahai mohbbat ka najrana.
aaya hai mera mursad lekar pyar ka khajana. 





Halat dekh ke duniya...

halat dekh ke duniya ki sadguru ne abhiyan chalaya.
nij swaroop ka gyan karake man ka sara bharam mitaya.

ek mul ke sabhi ansh hai bansh ek hai hamko darsaya.
dil vishal rakhna hai hamko sadguru ne hamko samjhaya.

guru samarpit manav paye aman chain ke hi bhandare.
aman chan se rahana hai to sahanseel ban jaye sare.


Nice poem

Airtel,Reliance,Nokiya model tere pyare hai.
sab ke andar card hai ek bahar roop nyare hai.
tu hi tu ring bajta, lagta khub hi nyara hai.
do taliyao ke andar baith ke mar rahe laskare hai.
leke ye paigam guru jate dware-dware hai.
har bhasa har mulk ke bande apne hi to sare hai.
darti kahti sun mere sai sakat mainu tare ne.
kha  kha ke nirankar de takko phulle bang gaware hai.
bina gyan ke simran karna simran nai gali hai.
mante nai bat santo ki aise parma mare hai.
har yug andar dubte papi tu hi par utare hai.
har bhasa har mulk ke bande apne hi to sare hai.





  

Hotho pe paigam rakh...

Apne kam se kam rakh,
sab se dua salam rakh .

neki kar dariya me dal,
khuda par tu anjam rakh.

dil se bhula de sikwe gile,
hotho pe paigam rakh.

jhank gireva me apne,
duje par na eljam rakh.

mol yaha har chij ka hai,
uska kuchh to dam rakh.

'Suhel' tu to hai momin,
hotho par mat jam rakh.



Naye sal me...

 Naye sal me naye soch ko,
 aao ham apnate jate jaye.
 satguru bachan ko mane ham,
 aur jeevan ko mahkate jaye.
 satguru jeevan me khas rahe,
 sada en par biswas rahe.
 har pal har chhad bas enko,
 apne dil me basate jaye.
 sabme dekhe rup prabhu ka,
 sabko sees jhukate jaye.
 jan jan ka satkar kare ham,
 aur sabko gale lagate jaye.
 maya ka rang na chadne de,
 bas rang guru ka chada rahe.
 aao miljul kar ham sab yahi,
 bardan mangte jaye...



Baba ji kahi.......

baba ji kahi dube na dube,
tere pyar me dub jaane ko ji chahta hai.

bahot neh lagaye hamne duniyao mayao se,
par jabse tujhe dekha hai tujhe apna banane ko ji chahta hai.

tujhse judke hame jeene ka salika aaya hai,
ab to har pal mujhe tere sath jeene ko ji chahta hai.

mahak uthi meri jindagi tujhse judke gulsan ki tarah,
ab to tere pyar me mujhe rangi rahane ko ji chahta hai

yakin nahi hota ki tujhe pake ki hamne paaya hai,
ab to apni naseeb pe mujhe etrane ko ji chahta hai.


kaise karu mai khusi jahir samajh nahi aata hai,
par jo bhi ho mujhe khusi se jhum jaane ko ji chahta hai.




Kya hua jab.....

kya hua jab apne hi rulate hai,
apne to apne hai hamesa yad aate hai,

pyar kahi kho gaya jaise,
har riste bikhre najar aate hai,

kon sunta hai kisi ki dard bhari fariyade,
ha sath khusiyo me sabhi aate hai,

waqt kaisa bhi rahe kisi ka bhi,
kam satguru hi sabke aate hai.



Chehara chand jaisa......

Chehara chand jaisa,
chamak wosh jaisi,

charad mukam jaisa,
aawaj sargam jaisi,

alfaaz grantho jaise,
nigah karuda jaise,

saant sagar jaisa,
ujwal kirano jaisa,

libas Tajmahal jaisa,
muskan rahat jaisi,

teri khwaish mujhko,
hai sanhso jaisi....... 




Andar kuchh aur bahar....

Andar kuchh aur bahar kuchh, aisa na kirdar banaye,
satya prem aur manvta ko, jeevan ka aadhar banaye .


hotho pe nakli muskane, aksar aj dikhayi deti,
swarth se upar uth kar, jeevan ko eksar banaye.


jati pati se upar uthna, na simit ho takraro tak,
ek duje ko ham swavikare, aisa ek sansar banaye.


prabhu ki surat tab dikhti hai,jab man ka darpan saf rahe,
jeevan me es raz ko jane, jeevan ko uphar banaye.


adhikaro ki bajaro me, kartavya ke grahak nahi rahe,
jeevan ke es dhang ko badle, jeevan na bekar banaye.


jinke bute kam ye sare, aaj talak sampann huye,
usko hi sarveshwar mane,khud ko na sardar banaye.

sawan ki u ghataye boli, rahmat ki barish hogi magar,
satya prem aur manavata ko, jeevan ka adhar banaye.




 

13 comments:

  1. SAINTS , DHAN NIRANKAR JI
    ACTUALLY I WANT SOME POEM IN ENGLISH IF ANYONE HAVE ENG POEM PLEASE POST IT OR SEND ME IN MY EMAIL ID :- sksumitkumar526@gmail.com

    ReplyDelete
  2. Don’t go to temple, don’t go to Church
    Serve thy parents, living gods on earths.

    None is thy so near and dear
    You grow and flourish all trouble they bear.

    You may rule over the Sky, anyone you may defy
    But a soul of their heart will leave you not worth a pie.

    Serve them happily and seek their blessings
    Failing, you will get from Him strong.

    It is His command, not merely an advice
    Life without this true service is a curse, a vice.

    ReplyDelete
  3. Avtarbani (9E)

    One cannot make ornaments just by sitting at a jewwller's shop for one day;

    A student cannot be called a teacher even if he become s a monitor;

    What can one tech who himself has joined the school just today;

    After assimilating his own lesson only then can he tech others;

    You should never vacillate form the divine secret (God) I am revealing unto you;

    Avatar Say's the fifth pledge is not to divulge it to anyone without being ordained to do so..

    ReplyDelete
  4. Plz mail me some engEngl poems

    ReplyDelete
  5. Dhan nirankar ji 🙏🙏🙏 bahut khooob mahapursho ji

    ReplyDelete
  6. Dhan nirankar g....very beautiful lines...🙏🙏🙏🙏👌👌👌

    ReplyDelete